शुक्रवार, 1 जुलाई 2022

Unki nazar

Apni aankhon se hi maar de..aisi unki hai nazar...

Unke tarz ka kya kehna...adaayen dekhkar unki to ho jaate hain sab kam nazar..

Kisi ki himmat nahin ki unse nazar milaye..

Koi hai hi nahin ki unke tarz ko dekhkar seedhe khada reh paye..

Hum bhi unhi bechaaron me se hi hain...

Unse mile to khud ko mehsoos bhi nahin kar paye...

गुरुवार, 30 जून 2022

Ek nagma

Chaubees ghante har pal saath hoti hain unki yaaden...Kahin bhool na jaaye hamen..bas yahi khayaal aata hai...

Lekin woh to hain ek nagma ...Kisi ek ke liye nahin, puri kainaat ke liye hai bana...

Ab yaadon se nikaalkar labon pe le aaya hoon..Lekin sirf gungunata kyun rahoon is nagme ko..bas isi baat pe malaal aata hai..

Muskarahat to unki hai aisi

Muskarahat to unki hai aisi..ki phool bhi Sharma jayen..Apne khilne ka ahankar bhi bhool jayen..

Jab aankhon tak pahunchti hai muskarahat unki ...Ek baadh si aa jaati hai...

Hum to thehre sirf ek bechare insaan..tairen hum kaise..

Woh to pure jahaan ko dooba deti hai..

Sapne bhi to ek sachchai hain

Unki anokhi adaon ka deewana ban gaya hai ye dil..

Pata nahin lekin un lamhon ki yaadon ka kya kare ye dil...

Waise pal shayad kabhi wapas na laaye ye zindagi...

Lekin sapne bhi to ek sachchai hi hain is duniya ki..

Jee lenge unke haseen khwabon ke saath ye zindagi..

Pyaar karta hai woh

Lage pade hain pyaar karne unse...bina jaane ki kaun hai woh...

Ashiq bane firte hain unke aas paas...bina samjhe ki kaun hai woh...

Chehra dekh ke ban gaye hain aashiq...bina dekhe ki kaun hai woh...

Kya kabhi unhe samjha ki kya kaun hain woh?

Kya kabhi unse poocha ki kya taiyaar hain woh?

Mat kar aisi galti ai aashiq...Jab samjhoge unhe to bhool jaoge aashiqi..

Kyunki woh to sirf ek khwab hain..

Kyunki woh to sirf ek khwaish hain..

Kyunki woh to sirf ek nagma hain...

Aashiqon ke naseeb me nahin aane wali hai woh..

Woh to bas ek gazal hain...

Woh to bas ek kalpana hai...

Ja apne raaste ai aashiq...use nahin sambhal paoge...

Ho bhi gayi agar tumhari, phir bhi kabhi nahin milegi tumhe...

Kyunki jis dil ko tum apna banana chahte ho, woh to raha hi nahin is duniya me..

Le gaya ek khushnaseeb use kisi doosri duniya me...

Wapas karna to chahta hoga zaroor...kyunki pyaar karta hai woh..lekin shayad majboor hai woh..

Ab agle janam ka khwab dekh ai aashiq...Ab to sambhal ja..Ab to samajh ja...

Use ab bhi pyaar karta hai woh...

Hawa hai woh

Pata hai ki Zindagi beet jayegi intezaar karte karte...Sochta rehta hoon ki wo hawa kab wapas  aayegi...

Lekin...ye bhi pata hai  Ki woh kabhi aayi hi nahin thi...

kyunki hawa hai woh..

Wo to bas ek hawa ka rukh tha jo hame mehsoos hua kuch pal...

Use pakadne ki koshish bhi nahin kar paye... kyunki kabhi haath aani hi nahin thi...

kyunki hawa hai woh..

Lekin..Hum bhi to kuch kam ziddi nahin us hawa se...Ud Gaye...usi hawa ke saath...jaise ki ek toota hua patta ho...

Socha ki Udkar uske saath wahan pahunch jayenge jahan woh tham Jane ka soche...

Lekin, hawa hai woh..

Namumkin hai..Pagalpan hai...ye sochna bhi ki kabhi hawa ko pakad payenge apni mutthi me..

Lekin, ye bhi to sach hai..ki bina is toote hue patte ke us hawa ka bhi to koi wajood nahin...

Dil aur dimaag

Dil bhi kya cheez hai..sirf apni hi sunta hai hamesha...

Dimaag bhi kya cheez hai..doosron ki sunta hai hamesha..

Jab dil ne kaha ki doob jaa..tab dimaag me kaha ki tair ja..

Jab dil ne kaha hi judh jaa..tab dimaag me kaha ki mudh jaa...

Jab dil ne kaha ki pyaar kar...tab dimaag me kaha ki intezaar kar..

Jab dil ne kaha ki mar jaa...tab dimaag me kaha ki sabar kar...

Dil bhi kya cheez hai...ajeeb hai..Pata nahin kahan hai...

Dimaag bhi kya cheez hai...kareeb hai... pata hai kahin hai..

Dil ka to koi pata nahi..thikana nahi..kabhi yahan to kabhi wahan...

Lekin dimaag to bahut khushnaseeb hai..yahaan hai..wahaan hai..lekin kahin bhi nahin hai...lekin kahin bhi nahin hai.


Gussa

Gussa to aisa hai unka, jaise koi sherni ho jungle ki...


Sher ki aukat hi kya ki use sambhal paaye, hoti hain jab wo aankho se laal...

Toofan ke bina magar, kya kabhi kashti pe uthta hai sawaal..

Gussa to sirf ek zariya hai unka...apnon ko batane ka ki kya hai unka haal..

Yahi to farak hai is baar

 


Bavandar si aayi woh ek raat ko.. sab kuch le gayi, bas chhod gayi apna nishaan...

Sab kuch kho to diya us raat, lekin Mann to hua hi nahin pareshaan is baar...

Bas yahi ek farak tha is baar...

Jaante hain hum ki ek hi jagah pe nahin garajti kabhi bijli doosri baar...

Lekin yahi to farak hai is baar...

Unki nishaani ko dekhkar yaad karte rehte hain wo toofani raat...

Apna dil de to nahin paaye unhe, kyunki aisi hai hi nahin hamari aukaat...

Lekin bhula den kaise unhe bata ai khuda...hamari to tamanna hai ye to ho bas ek shuruaat..

Kyunki yahi to farak hai is baar...

Wapas lautkar aane ka ehsaas jo de gayi woh...kar lenge unka zindagi bhar intezaar...

Bas yahi to farak hai is baar...

Naye zamaane ke rishte

 Ek zamana tha jab chitthiyan likh ke izhaar kiya jaata tha..apne man ki baat ko kalam aur syahi se bayaan kiya jaata tha..


Ab kalyug ka zamaana hai...ab mobile pe type karte hain log aur intezaar karte hain delivery tick ka...

Single tick dekhne pe mobile network ko zimmedar maante hain...

Double tick hone pe apne aap ko khushnaseeb maante hain...

Aur jab blue tick dikh jaaye to samajhte hain ki sandesha pahuch gaya hai...Lekin reply na aaye to samajh nahin paate hain..

Yahi to hai naya zamaana aur naye rishte...online hi jiye jaate hain..aur offline bas kuch ticks me ho jaate hain..

Kitaab

Ek kitaaab hain woh...har panna ek naya mod, ek nayi shuruaat hai...


Bahar se to sakht lagti hai woh...lekin andar ke kagaz to kuch aur karte hain bayaan..

Apni kahani ko shayad hamen padhana chahti thi woh...Lekin hum kabhi samajh hi nahin paye uske ilm ko..

Kaise use bataayen...ki hum to anpadh hain... Na le woh hamara imtehaan...

Ab padhai to shuru karna chale hain hum...Lekin, kitaabon ka kya koi thikaana  hota hai..

Na jaane kis kutub khane me hogi agle baras...pata nahin kise suna rahi hogi apni daastaan..

Umeed bhi kya cheez hai

Umeed bhi kya cheez hai...


Ek besahare ka sahara hoti hai..
Ek bimaar ki dava hoti hai..

Umeed bhi kya cheez hai..

Ek gumshude ki talaash hoti hai..
Ek thake hue ki pyaas hoti hai..

Umeed bhi kya cheez hoti hai..

Ek ashiq ka ehsaas hoti hai...
Ek toote dil ka darmaan hoti hai..

Umeed bhi kya cheez hai...

Jise koi roshni na dikhe ufaq me, woh to zindagi jeete hain ehtimaal me.. 

Lekin jiske paas hoti hai ye zahanat, woh to jee sakta hai kisi bhi haal me..

Unki nazar

Apni aankhon se hi maar de..aisi unki hai nazar... Unke tarz ka kya kehna...adaayen dekhkar unki to ho jaate hain sab kam nazar.. Kisi ki hi...