Pata hai ki Zindagi beet jayegi intezaar karte karte...Sochta rehta hoon ki wo hawa kab wapas aayegi...
Lekin...ye bhi pata hai Ki woh kabhi aayi hi nahin thi...
kyunki hawa hai woh..
Wo to bas ek hawa ka rukh tha jo hame mehsoos hua kuch pal...
Use pakadne ki koshish bhi nahin kar paye... kyunki kabhi haath aani hi nahin thi...
kyunki hawa hai woh..
Lekin..Hum bhi to kuch kam ziddi nahin us hawa se...Ud Gaye...usi hawa ke saath...jaise ki ek toota hua patta ho...
Socha ki Udkar uske saath wahan pahunch jayenge jahan woh tham Jane ka soche...
Lekin, hawa hai woh..
Namumkin hai..Pagalpan hai...ye sochna bhi ki kabhi hawa ko pakad payenge apni mutthi me..
Lekin, ye bhi to sach hai..ki bina is toote hue patte ke us hawa ka bhi to koi wajood nahin...
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें